ye chaman hamaaraa apanaa hai
- Movie: Ab Dilli Door Nahin
- Singer(s): Geeta Dutt, Chorus, Asha Bhonsle
- Music Director: Duttaram
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Motilal, Romi, Sulochana
- Year/Decade: 1957, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

aa: ye chaman hamaaraa apanaa hai
is desh pe apanaa raaj hai
ko: is desh pe apanaa raaj hai
aa: mat kaho ke sar pe Topii hai
kaho sar pe hamaare taaj hai
ko: kaho sar pe hamaare taaj hai
aa: ye chaman hamaaraa apanaa hai ...
gii: aatii thii ek divaalii
aa: aa aa aa
ko: aatii thii ek divaalii
gii: baraso.n me.n kabhii khushahaalii
aa: ab to har ek vaar ek tyauhaar hai
ye ubharataa sa.Nvaarataa samaaj hai
aa: ye chaman hamaaraa ...
aa: aa aa aa aa
gii: ye jaan se pyaarii dharatii
aa: aa aa aa
ko: ye jaan se pyaarii dharatii
gii: duniyaa kii dulaarii dharatii
aa: o ye aman kaa diyaa aa.Ndhiyo.n me.n jalaa
saarii duniyaa ko is pe naaz hai
aa: ye chaman hamaaraa apanaa hai...
aa: ho dekh lo kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
ko: kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
aa: o roshanii kahii.n kam na rahe kahii.n Gam na rahe
ko: kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
aa: saare sa.nsaar kii aa.Nkh ham pe lagii
apane haatho.n me.n apanii laaj hai
ko: ye chaman hamaaraa apanaa hai
is desh pe apanaa raaj hai
Comments/Credits:
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
