Browse songs by

yashodaa kaa na.ndalaalaa brij kaa ujaalaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

zu zu zuu zu zuu zu zu zu zu zuu
yashodaa kaa na.ndalaalaa bR^ij kaa ujaalaa hai
mere laal se to saaraa jag jhilamilaae
zu zu zuu zu zuu zu zu zu zu zuu
raat Tha.nDii Tha.nDii havaa, gaa ke sulaae
bhor gulaabii palake.n, khol ke jagaae

do a.Nkhiyo.n me.n tujhe basaake
jaane kab se jaaguu.N
tuu maa.Nge to chaa.Nd bhii de duu.N
tujh se kuchh naa maa.Nguu.N
khol tuu aa.Nkhe.n dekh yahaa.N huu.N
aur nahii.n koI mai.n terii maa.N huu.N, zu zu zuu ...
tere liye kaise kaise sapane sajaae, mere laal se ...

jaane kab ye aatii jaatii
saa.ns kahaa.N tham jaae
dekh murajhaataa phuul TuuT ke
Daalii se kab gir jaae
tuu jo mujhe maa.N maa.N ... maa.N, rahake bulaae
ruuh ko merii chain aa jaae, zu zu zuu ...
so jaae aise phir naa jaaguu.N jagaae, mere laal se ...

Comments/Credits:

			 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image