Browse songs by

wafaa kaa naam zamaane me.n aam kar jaa_uu.N - - Runa Laila

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

wafaa kaa naam zamaane me.n aam kar jaa_uu.N
phir usake baad mai.n zi.ndaa rahuu.n ke mar jaa_uu.N

ilaahii mujhako ataa kar sadaaqato.n ke charaaG
mai.n unakii roshanii le kar nagar nagar jaa_uu.N

terii zamii.n pe na ho naam nafarato.n kaa kahii.n
muhabbato.n ke fasaane sunuu.N jidhar jaa_uu.N

mere wujuud kaa ye bhii to ek masaraf hai
dilo.n me.n pyaar kii maani.nd mai.n utar jaa_uu.N

mazaa to jab hai ke dushman bhii mujhako yaad kare.n
misaal pyaar kii aisii mai.n chho.D kar jaa_uu.N

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image