Browse songs by

vo tiir kaleje par ik shoK ne maaraa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

vo tiir kaleje par ik shoK ne maaraa hai
har dard me.n tasqii.n hai har Gam hame.n pyaaraa hai

vah jinake tasavvur se roshan hai merii duniyaa
hai chaa.Nd Kyaalo.n kaa aa.Nkho.n kaa sitaaraa hai

daaman ko bachaa lenaa yah kaam hai duniyaa kaa
ham dil ko jalaa de.nge yah kaam hamaaraa hai

allaah hai.n vah nazare.n ab jinake ishaare par
jiinaa bhii gavaaraa hai maranaa bhii gavaaraa hai

Comments/Credits:

			 % Credits: This lyrics were printed in Listeners' Bulletin Vol #46 under Geetanjali #36
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image