Browse songs by

tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sthaayii:
nuurajahaa.N:
(tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa) -2
tere dam se hai salaamat ye bahaar yaad rakhanaa
tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa

a.ntaraa 1:
mehadii hasan:
mere dil me.n bas rahii hai terii aarazuu kii Kushabuu -2
kisii aur kaa jahaa.N me.n na chalegaa mujh pe jaaduu
tere naam par miTegaa dil-e-zaar yaad rakhanaa

nuu:
tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa

a.ntaraa 2:
nuu:
tujhe chhiin le na mujhase kisii moD par zamaanaa -2
me:
kabhii bhuul kar bhii dil me ye Kayaal tum na laanaa
nuu:
mere baaG me.n hai tujhase ye bahaar yaad rakhanaa

tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa

a.ntaraa 3:
nuu:
tere baad kyaa kahuu.Ngii dil-e-mubtilaa se apane -2
me:
jo phiruu.N kabhii wafaa se to phiruu.N Kudaa se apane
mere pyaar kii nishaanii ye si.ngaar yaad rakhanaa

nuu:
tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa
tere dam se hai salaamat ye bahaar yaad rakhanaa
tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa

##Last line accompanied by humming by MH##

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Abhay Phadnis
% Date: 19 December 2002
% Credits: Urzung Khan
% Comments: Noor-e-Tarannum series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image