sun saajanaa dukhii man kii pukaar
- Movie: Lakhon Mein Ek (Pakistani-Film)
- Singer(s): Noorjahan
- Music Director: Nisar Bazmi
- Lyricist: Fayyaz Hashmi
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1967, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ho
sun saajanaa
dukhii man kii pukaar
hu_aa bairii sa.nsaar
haay bain kare meraa pyaar pyaar
ho
sun saajanaa
dukh dene waale ye samajhe.n yaad terii miT jaayegii -2
kachchii nahii.n hai Dor lagan kii jo aise kaT jaayegii
kare.n jatan hazaar
man maanegaa na haar
haay bain kare meraa pyaar pyaar
ho
sun saajanaa
Dhuu.NDh rahii huu.N un Kushiyo.n ko pal bhar me.n jo biit ga_ii.n
haar gaye ham dono.n saajan jag kii rasme.n jiit ga_ii.n
base tum us paar aur mai.n is paar
haay bain kare meraa pyaar pyaar
ho
sun saajanaa
dukhii man kii pukaar
hu_aa bairii sa.nsaar
haay bain kare meraa pyaar pyaar
ho
sun saajanaa
Comments/Credits:
% Credits: Pulkit Sharma