Browse songs by

shaam ra.ngiin huii hai tere aa.Nchal kii tarah

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

su: shaam ra.ngiin huii hai tere aa.Nchal kii tarah
surma_ii ra.ng sajaa hai tere kaajal kii tarah
u: paas ho tum mere dil ke mere aa.Nchal kii tarah
merii aa.Nkho.n me.n base ho mere kaajal kii tarah

u: merii hastii pe kabhii yuu.N koii chhaayaa hii na thaa
su: tere nazdiik mai.n pahale kabhii aayaa hii na thaa
u: mai.n huu.N dharatii kii tarah tum kisii baadal kii tarah
su: surma_ii ra.Ng sajaa hai tere kaajal kii tarah

u: aasmaan hai mere armaano.n ke darpan jaise
su: dil yuu.N dha.Dake ki lage baj uThe ka.Ngan jaise
u: mast hai.n aaj havaae.n kisii paayal ki tarah
su: surma_ii ra.Ng sajaa hai tere kaajal kii tarah

u: aisii ra.Ngiin mulaaqaat kaa matalab kyaa hai
su: in chhalakate hue jazbaat kaa matalab kyaa hai
u: aaj har dard bhulaa do kisii paagal kii tarah
surma_ii ra.Ng sajaa hai tere kaajal kii tarah

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Credits: Mahesh Saptarshi 
%          Manjeet Rekhi 
% Date: 06/12/1996
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image