Browse songs by

sapano.n me.n mujhako pyaar milaa - - Jagmohan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sapano.n me.n -2
sapano.n me.n mujhako pyaar milaa
inkaar milaa ekaraar milaa
sapano.n me.n mujhako pyaar milaa

sunasaan raat me.n chup the
chup the taare
man bhii thaa Kaamosh
ek baar bas nain khule the
bas itanaa hai hosh
golii baa.Nho.n kaa haar milaa -2
sapano.n me.n mujhako pyaar milaa

ha.Nsataa hu_aa diip soyaa thaa
cha.ndaa thaa baadal me.n
hawaa nii.nd bhar kar laayii thii
jho.nko.n ke aa.Nchal me.n
phir dil se dil kaa taar milaa -2
sapano.n me.n mujhako pyaar milaa

kyaa dekhaa aur kyaa paayaa
paayaa mai.nne
ye duniyaa kyaa jaane
ghaayal ko ghaayal jaane
diiwaane ko diiwaane
har pal me.n ek sa.nsaar milaa -2
sapano.n me.n mujhako pyaar milaa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image