Browse songs by

saajanaa din bahure hamaare

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

saajanaa din bahure hamaare -2
pyaase aa pahu.Nche nadiyaa kinaare
saajanaa din bahure hamaare

kaamanaa_o.n me.n bechainii aa_ii -2
man kii komal kalii musakaa_ii
ham kahaa.N tum kahaa.N -2
aur ye pyaaraa samaa.N ha.Nse
Kaabo.n ke chamake sitaare
saajanaa din bahure hamaare

( khel chaahat kaa khel
ye hai man kii kulel
ba.De itanaa to mel ) -2
manjhe cha.Dh jaaye bel -2
tum hamaare bano.n ham tumhaare
saajanaa din bahure hamaare

phir kahaa.N aisii raate.n suhaanii -2
phir kahaa.N ye machalatii jawaanii
man kii maujo.n me.n zor -2
prem-nadiyaa kaa shor
aaj mil jaaye.n do bahate dhaare
saajanaa din bahure hamaare -2
saajanaa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image