Browse songs by

rah\-rah ke teraa dhyaan rulaataa hai kyaa karuu.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

rah-rah ke teraa dhyaan rulaataa hai kyaa karuu.N
har suu gar mujhako tuu nazar aataa hai kyaa karuu.N
rah-rah ke teraa dhyaan

terii samajh me.n bhii nahii.n aataa hai meraa haal -2
merii zabaa.N pe bhii nahii.n aataa hai kyaa karuu.N -2
rah-rah ke teraa dhyaan

( ye mujhako kyaa hu_aa hai mujhe Kud Kabar nahii.n
mujhe Kud Kabar nahii.n ) -2
har waqt ko_ii yaad hii aataa hai kyaa karuu.N -2
rah-rah ke teraa dhyaan

hairaa.N huu.N jab bhii aa.Nkh se aa.Nsuu Tapakataa hai -2
dil kii lagii ko aur ba.Dhaataa hai kyaa karuu.N -2
rah-rah ke teraa dhyaan

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image