Browse songs by

qaum kii Kidamat me.n raho miTane ko taiyaar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image


he/be: qaum kii Kidamat me.n raho miTane ko taiyaar
sab: marane ko taiyaar raho miTane ko taiyaar raho
ba.Dane ko taiyaar raho marane ko taiyaar

s: aapas ke fasado.n ko miTaanaa hii pa.Degaa
aa: ye zulm ki tahadii ko haTaanaa hii pa.Degaa
s/be: vo qaum nahii jisame naa ho ba.Dane kaa aramaan
sab: marane ko taiyaar raho miTane ko taiyaar raho
ba.Dane ko taiyaar raho marane ko taiyaar

he: ma.ndir ne pukaaraa tumhe masajiid ne pukaaraa
allaah ne pukaaraa tumhe iishvar ne pukaaraa
he/be: azaad vatan ke li_e validaan ho jaanaa
azaad vatan ke li_e qurbaan ho jaanaa
sab: marane ko taiyaar raho miTane ko taiyaar raho
ba.Dane ko taiyaar raho marane ko taiyaar

he: ved me.n quraan me.n to ek baat hai.n
inasaan ke Kidamat se ba.Daa kaun kaam hai.n
s: inasaan ke Kidamat me karo bheT zi.ndagii
aapas ke fasaado.n se karo bheT ba.ndagii
sab: marane ko taiyaar raho miTane ko taiyaar raho
ba.Dane ko taiyaar raho marane ko taiyaar

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: Jan 26, 2002
% Availability: AFAIK only on 78 rpm

%printtitle
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image