Browse songs by

pitu maatu sahaayaka svaami sakhaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

pitu maatu sahaayak svaamii sakhaa
tum hii ek naath hamaare ho
jin ke kachhu ur aadhaar nahii.n
un ke tum hii rakhavaare ho
pitu maatu sahaayak svaamii sakhaa ...

sab bhaa.Nti sadaa sukh dayak ho
duHkh du.rdam naashan haare ho
pratipaal karo sagare jag ko
atishay karuNaa guN dhaare ho
pitu maatu sahaayak svaamii sakhaa ...

upakaaraNako kachhu a.nta nahii
chhinahii chhina jo vistaare ho
bhUlii hai hamahii tumako tuma to
hamarii sudhi naahi.n bisaare ho .

mahaaraaja mahaa mahimaa tumharii
samuche virale budhivaare ho

shubh shaa.Nti niketan prem niket
man ma.ndir ke ujiyaare ho
is jiivan ke tum jiivan ho
in praaNan ke tum pyaare ho

tum to prabhu paaye pratap hari
kahiye ke ab aur sahaare ho
pitu maatu sahaayak svaamii sakhaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: Jan 6, 2002
% Comments: Available on HMV CS "Ram karen so hoye" - Mukesh Bhajans
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image