Browse songs by

pii ke ghar aaj pyaari dulhaniyaa chalii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

pii ke ghar aaj pyaarii dulhaniyaa chalii
roe.n maataa pitaa unakii duniyaa chalii

bhaiyaa bahanaa ke dil ko lagii Thes re
merii qismat me.n jaataa thaa parades re
chho.D kar apane baabul kaa aa.Ngan chalii
pii ke ghar aaj pyaarii dulhaniyaa chalii

bhaiyaa baabaa ne sukh mohe saare die
more gaune me.n chaa.Nd aur sitaare die
saath le kar mai.n saaraa gaganadii chalii
pii ke ghar aaj pyaarii dulhaniyaa chalii

koii guN Dha.ng na mujh me.n koii baat hai
morii chuu.Diyo.n kii laaj ab tore haath hai
tore sa.ng mai.n jiivan bhar ko sajanaa chalii
pii ke ghar aaj pyaarii dulhaniyaa chalii

Comments/Credits:

			 % Transliterator: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au)
% Date: Sat Jan 27, 1996
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@coe.neu.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image