Browse songs by

o maa.njhii re, apanaa kinaaraa, nadiyaa kii dhaaraa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

o maa.njhii re, apanaa kinaaraa, nadiyaa kii dhaaraa hai
o maa.njhii re ...

% a high pitched flute interlude here makes you fiil the intensity of emotions
% and the depth of sound..

saahilo.n pe bahane vaale
kabhii sunaa to hogaa kahii.n, o ...
ho, kaagazo.n kii kashtiyo.n kaa
kahii.n kinaaraa hotaa nahii.n
ho maa.njhii re ... maa.njhii re
koI kinaaraa jo kinaare se mile vo,
apanaa kinaaraa hai ...
o maa.njhii re ...

% violins and flute again play havoc in your mind...
paaniyo.n me.n bah rahe hai.n
kaI kinaare TuuTe hue o ...
ho, raasto.n me.n mil gae hai.n
sabhii sahaare chhuuTe hue ...
koi sahaaraa majhadhaare me.n mile vo,
apanaa sahaaraa hai ...

o maa.njhii re, apanaa kinaaraa, nadiyaa kii dhaaraa hai
o maa.njhii re ...
% the sailing beat continues till it fades out... The sailor is gone...

Comments/Credits:

			 % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Ashish S Bokil (abokil@hubcap.clemson.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image