Browse songs by

nuktaachii.n hai Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa
aa
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane
kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane -2

mai.n bulaataa to huu.N usako magar ai jazbaa-e-dil -2
us pe ban jaaye kuchh aisii
us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane -2
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye

bojh wo sar pe giraa
bojh woh sar se giraa hai, ki uThaaye na uThe
kaam wo aan pa.Daa hai ke banaaye na bane -2
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye

ishq par zor nahii.n
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib
ke lagaaye na lage
ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane -2
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye

Comments/Credits:

			 % Credits: U.V. Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image