nanhii sii jaan ... zi.ndagii me.n pyaar kiyaa jaaye
- Movie: Nadiya Ke Paar
- Singer(s): Mohammad Rafi, Shamshad Begum
- Music Director: C Ramchandra
- Lyricist: Moti
- Actors/Actresses: Dilip Kumar, Kamini Kaushal
- Year/Decade: 1948, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
sha: nanhii sii jaan me.n hai jawaanii kaa sitam kyuu.N
rag rag me.n nashaa aur nashe me.n hai dard kyuu.N
ra: ye is liye ke zi.ndagii me.n pyaar kiyaa jaaye -2
do: do chaar din hai pyaar se guzaar diyaa jaaye -2
ra: haa.N do dil jab ek hote hai.n tab do bane hai.n kyuu.N
milane kii tamannaa hai magar milate nahii.n hai.n kyuu.N
sha: ye is liye ke dil pe dil nisaar kiyaa jaaye -2
do: do chaar din hai pyaar se guzaar diyaa jaaye -2
sha: haa.N aa.Nkho.n se aa.Nkh mil ga_ii phir bhii na chain kyuu.N
haa.N pahachaan ho ga_ii magar bebasii hai kyuu.N
ra: ye is liye ke ishq kaa izahaar kiyaa jaaye -2
do: do chaar din hai pyaar se guzaar diyaa jaaye -2
ra: haa.N in mast nigaaho.n me.n pareshaaniyaa.N hai.n kyuu.N
betaab do dilo.n me.n yuu.N jawaaniyaa.N hai.n kyuu.N
sha: ye is liye ke ab naa i.ntazaar kiyaa jaaye -2
do: do chaar din hai pyaar se guzaar diyaa jaaye -2