najuumi huu.N mai.n ... mubaarak ho ... chhamaa\-chham sonaa\-chaa.Ndii ... ye hai qismat kaa nazaraanaa
- Movie: Inaam
- Singer(s): Chorus, Suraiyya, Male Voice
- Music Director: S N Tripathi
- Lyricist: Raja Mehdi Ali Khan
- Actors/Actresses: Yaqub, Suraiyya, Mukri, Pratima Devi, Kammo, Bimla Kumari, Naasir
- Year/Decade: 1955, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
su : mubaarak ho -4
chhamaa-chham sonaa-chaa.Ndii ghar me.n aa jaanaa mubaarak ho -2
ye hai qismat kaa nazaraanaa ye nazaraanaa mubaarak ho -2
tumhaare dar pe sau-sau moTare.n aa kar kha.Dii ho.ngii
ho ho
tumhaare dar pe sau-sau moTare.n aa kar kha.Dii ho.ngii
rupo.n kii thailiyaa.N kamaro.n ke kono.n me.n ga.Dii ho.ngii
haay
##Male Voice## : ahaa
kyaa baat hai
waah
su : kamaa_ii duusaro.n kii apane ghar laanaa mubaarak ho
ko : kamaa_ii duusaro.n kii apane ghar laanaa mubaarak ho
su : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
ko : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
mubaarak ho -4
chhamaa-chham sonaa-chaa.Ndii ghar me.n aa jaanaa mubaarak ho
su : tumhe.n ka.Dakaa jo kahate hai.n
##Male Voice## : ka.Dakaa? kyaa kahaa?
su : tumhe.n ka.Dakaa jo kahate hai.n wo tumako sheK bole.nge
##Male Voice## : are tumhaare mu.Nh me.n ghii-shakkar
su : ho
tumhe.n ka.Dakaa jo kahate hai.n wo tumako sheK bole.nge
jo baiTho ##car## to aage ba.Dh kar ##gate## khole.nge
ba.Dhaa kar peT tumako seTh ban jaanaa mubaarak ho
ko : ba.Dhaa kar peT tumako seTh ban jaanaa mubaarak ho
su : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
ko : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
mubaarak ho -4
chhamaa-chham sonaa-chaa.Ndii ghar me.n aa jaanaa mubaarak ho
su : tujhe shaayad kisii cha.nchal parii se pyaar ho jaaye
ho
tujhe shaayad kisii cha.nchal parii se
##Male Voice## : ho
tujhe shaayad kisii cha.nchal parii se pyaar ho jaaye
su : bahut mumakin hai ##mister## teraa be.Daa paar ho jaaye
haay
##Male Voice## : ahaa
are jiyo
su : kisii ke dil ke ba.ngale me.n teraa aanaa mubaarak ho
ko : kisii ke dil ke ba.ngale me.n teraa aanaa mubaarak ho
su : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
ko : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
mubaarak ho -4
chhamaa-chham sonaa-chaa.Ndii ghar me.n aa jaanaa mubaarak ho
su : bano tum lakhapatii bha_iyaa du_aa hai bas ye baa.ndii kii
ho
bano tum lakhapatii bha_iyaa du_aa hai bas ye baa.ndii kii
ho haatho.n me.n tumhaare hathaka.Dii
##Male Voice## : he mu.Nh sambhaal ke haa.N
su : ho haatho.n me.n tumhaare hathaka.Dii lekin ho chaa.Ndii kii
haay
##Male Voice## : chaa.Ndii kii? phir to Thiik hai
su : tumhe.n zulfo.n kii phaa.Nsii le ke mar jaanaa mubaarak ho
ko : tumhe.n zulfo.n kii phaa.Nsii le ke mar jaanaa mubaarak ho
su : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
ko : ye hai qismat kaa nazaraanaa -2
mubaarak ho -4
chhamaa-chham sonaa-chaa.Ndii ghar me.n aa jaanaa mubaarak ho -2
haa
Comments/Credits:
% 1. kosh mentions a prelude "najuumi huu.N mai.n qismat kaa likha" % which is not in the version I have. % 2. kosh mentions Suraiya, Chorus as singers, but there is also a % ##Male Voice## uttering the comments attributed.