Browse songs by

musaafir hai.n ham\-tum ye duniyaa saraay

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

musaafir hai.n ham-tum ye duniyaa saraay
idhar ko_ii aa_e udhar ko_ii jaa_e
ye jalave ye naGame.n ye mahafil suhaanii
ye husn aur mohabbat kii ra.ngii.n kahaanii
yahaa.N kii har ek chiiz hai aanii jaanii
vo naadaan hai inase jo dil lagaa_e
musaafir hai.n ham tum ...

har ek chiiz me.n hai na_ii zindagaanii
vo naadaan hai jo yahaa.N tak na aa_e
musaafir hai.n ham tum ...

zamaanaa hu_aa hai na hogaa kisii kaa
tamaashaa hai saaraa gha.Dii do gha.Dii kaa
bharosaa na karanaa kabhii zindagii kaa
naa maaluum kab saa.Ns aa_e na aa_e
musaafir hai.n ham tum ...

ye duniyaa hai do gha.Dii kaa tamaashaa
na karanaa yahaa.N zindagii kaa bharosaa
naa baakii rahe ko_ii dil kii tamannaa
adhuurii kahii.n daastaa.n rah na jaa_e
musaafir hai.n ham tum ...

Comments/Credits:

			 % Comments: Sequel of Khul Ja Sim Sim - 1956
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image