milaa jo pyaar to ham pyaar ke qaabil naa rahe
- Movie: Preet Ki Dori
- Singer(s): Kishore Kumar
- Music Director: Kalyanji, Anandji
- Lyricist: Indeevar
- Actors/Actresses: Jeevan, Tanuja, Bindu, Lalita Pawar, Nazir Husain, Ajay Parikshit Sahni
- Year/Decade: 1971, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
milaa jo pyaar to ham pyaar ke qaabil naa rahe
Kizaa me.n pal ke ham bahaar ke qaabil naa rahe
ga_e jo Duub kinaaro.n se unakaa naataa kyaa -2
uja.D ga_e jo bahaaro.n se unakaa naataa kyaa
tum to ik phuul ho ham haar ke qaabil naa rahe
milaa jo pyaar to ...
hame.n miTaa do ke ham zindagii se haare hai.n
hame.n bhulaa do ke ham TuuTe hu_e taare hai.n
hai.n vafaadaar magar yaar ke qaabil naa rahe
milaa jo pyaar to ...