Browse songs by

merii prem kii naiyaa chalii mai.n akelii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ju: merii prem kii naiyaa chalii, mai.n akelii
premii, tum aao
ka: ye kisane giit ???? gaayaa?, kahaa.N?, sunaa_o
phir sunaa_o

ka: tum ma.Njhadhaar me.n binaa sahaare
mai.n huu.N duur kinaare
aauu.N kaise paas tumhaare
ju: jyuu.N dariyaa saagar se milataa
apanii baah pasaare
tum aao paas hamaare
do: duniyaa ko tum man se bhuulo
mujh me.n tum kho jaao, aao
premii, tum aao

ju: milan pyaas merii din-din???? me.n
ba.Dhatii jaatii man me.n
jo bujhe nahii.n jiivan me.n
ka: milan niir bahataa hai nisadin
premii ke nainan me.n
tum dekho man darpan me.n
do: naino.n hii naino.n me.n apanii
baat mujhe samajhaao, aao
premii, tum aao

Comments/Credits:

			 % Date: 04 Aug 2003
% Comments: Geetanjali Series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image