Browse songs by

merii nazar se na ho duur ek pal ke liye - - Ghulam Ali

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

% prelude
kal tak to aashnaa the magar aaj Gair ho
do din me.n ye mizaaj hai.n aage kii Kair ho

merii nazar se na ho duur ek pal ke liye
teraa wujuud hai laazim merii Gazal ke liye

kahaa.N se Dhuu.NDh ke laa_uu.N charaaG se wo badan
taras ga_ii hai.n nigaahe.n ka.Nwal ka.Nwal ke liye

ek aisaa tajurbaa mujhako hu_aa hai aaj kii raat
bachaa ke dha.Dakane.n rakh lii hai.n mai.nne kal ke liye

sadaa jiye ye meraa shahar-e-bemisaal jahaa.N
hazaar jhopa.De girate hai.n ik mahal ke liye

'qatiil' zaKm sahuu.N aur muskuraataa rahuu.N
bane hai.n daayare kyaa kyaa mere amal ke liye

kisii kisii ke nasiibo.n me.n ishq likkhaa hai
har ek dimaaG bhalaa kab hai is Kalal ke liye

hu_ii na jurr_at-e-guftaar to sabab ye thaa
mile na lafz tere husn ke badal ke liye

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image