mere tumhaare biich me.n ab to naa parbat naa saagar
- Movie: Jhuk Gaya Aasmaan
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Rajendra Kumar
- Year/Decade: 1968, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( mere tumhaare biich me.n ab to naa parbat naa saagar
nis din rahe Kayaalo.n me.n tum ab ho jaa_o ujaagar
ab aan milo sajanaa
ab aan milo sajanaa sajanaa ) -2
( aayaa madamaataa saawan, phir rimajhim kii rut aa_ii
phir man me.n bajii shahanaa_ii, phir priit ne lii a.Nga.Daa_ii ) -2
mere tumhaare biich me.n ab to naa parbat naa saagar
nis din rahe Kayaalo.n me.n tum ab ho jaa_o ujaagar
ab aan milo sajanaa
ab aan milo sajanaa sajanaa
( mai.n man ko laakh manaa_uu.N, maane nahii.n man matawaalaa
ab aa ke tumhii.n samajhaa_o, mai.nne ab tak bahut sambhaalaa ) -2
mere tumhaare biich me.n ab to naa parbat naa saagar
nis din rahe Kayaalo.n me.n tum ab ho jaa_o ujaagar
ab aan milo sajanaa
ab aan milo sajanaa sajanaa
( saj dhaj ke kha.Dii mai.n kabase Dolii le kar aa jaa_o
us paar jahaa.N meraa ghar hai us paar mujhe le jaa_o ) -2
( mere tumhaare biich me.n ab to naa parbat naa saagar
nis din rahe Kayaalo.n me.n tum ab ho jaa_o ujaagar
ab aan milo sajanaa
ab aan milo sajanaa ) -2