mat kar saaj si.ngaar sundarii - - Jagmohan
- Movie: non-Film
- Singer(s): Jagmohan
- Music Director:
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mat kar saaj si.ngaar sundarii
mat kar saaj si.ngaar sundarii mat kar saaj si.ngaar
gahane sharmaaye se rahate
gahane sharmaaye se rahate tujhe nihaar nihaar
mat kar saaj si.ngaar sundarii mat kar saaj si.ngaar
motii sii tuu khud ujalii hai haa.N
aur cha.nchal tuu bijalii sii hai haa.N
uupar ke is ThaaTh baaT se -2
tujhako kyaa darakaar
mat kar saaj si.ngaar sundarii mat kar saaj si.ngaar
( apanii zulfo.n ko chhitaraa de
ho.nTho.n par tuu ha.Nsii bichhaa de ) -2
choTii ke do hisse kar ke -2
banaa gale kaa haar
mat kar saaj si.ngaar sundarii mat kar saaj si.ngaar
( ek baar tuu dekh le darpan
mast banaa le sundarii
mast banaa le apanaa jiivan ) -2
apanii manamohak suurat pe khud ho jaa balihaar -2
mat kar saaj si.ngaar sundarii mat kar saaj si.ngaar