mai.nne pii sharaab to tumane kyaa piyaa
- Movie: Naya Rasta
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: N Dutta
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actors/Actresses: Sujit Kumar, Balraj Sahni, Asha Parekh, Jeetendra, Farida Jalal, Veena
- Year/Decade: 1970, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
maine pii sharaab to tumane kyaa piyaa aadamii kaa Kuun
mai.n zaliil huu.N tumako kyaa kahuu.N
maine pii sharaab ...
tum pi_o to Thiik ham pi_e.n to paap
tum karo to puNy ham kare.n to paap
ham tabaah-haal ham faqiir log
zindagii bhii rog maut bhii azaab
maine pii sharaab ...
tum kaho to sach ham kahe.n to jhuuTh
tumako sab mu_aaf zulm ho ke luuT
tumane kitane dil chaaq kar di_e
maine to kiyaa khud ko hii Karaab
maine pii sharaab ...
riiti aur rivaaz sab tumhaare saath
dharm aur samaaj sab tumhaare saath
apane saath kyaa dhuul aur dhu_aa.n
aane vaalaa daur legaa sab hisaab
maine pii sharaab ...