Browse songs by

Maa.n ko pukaar kar ... mere laal

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

maa.n ko pukaarakar puuchhaa bachche ne
aayaa kahaa.N se huu.N maa.N bolo to
pa.Daa kahaa.N paayaa gayaa bolo to
sunakar savaal yah
maa.N ke stano.n se uphan pa.Daa duudh
aur bah aayaa aa.Nkho.n se uttar

mere laal
tum to hameshaa the
mere man kii abhilaaShaa me
mere tan kii paribhaaShaa me
bachapan ke gu.Diyaaghar me
kitnii baar tujhe khelate-khelate to.Daa
to.Date-to.Date jo.Daa
paakar khoyaa aur khokar paayaa hai
kahaa.N se bataauu.N tuu aayaa hai
pa.Daa tujhe maine kahaa.N paayaa hai
mere laal

(milaa thaa man ko mere jab ik tan
upjaa thaa tuu hii ik madhur chha.nd ban)/-2
ai
gaat-gaat a.ng a.ng mahakaa thaa chhun chananan
os bharii subah se
suhaag ke sa.ngiit se
sab kii manuhaar se
i.NdradhanuShii sapno.n saa aayaa hai
kahaa.N se bataauu.N tuu aayaa hai
pa.Daa tujhe maine kahaa.N paayaa hai
mere laal

tuu haa.N tuu hii to hai merii amar aashaa
subah kaa sapanaa
maa.N aur daadii kii sunaharii Kvaahish
prem kii paraMpara kvaab kii Kvaahish
aur prem kii aashaa se banii terii kayaa hai
kahaa.N se bataauu.N tuu aayaa hai
pa.Daa tujhe maine kahaa.N paayaa hai
mere laal

Comments/Credits:

			 % Contributor: Vibhendu Tewari
% Date:Dec 7, 2002
% Comments: GEETanjali series, generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image