luuT liyaa ... kisii gariib kaa ghar
- Movie: Darbaar
- Singer(s): Talat Mehmood
- Music Director: Hansraj Behl
- Lyricist: Prem Dhawan, Asad Bhopali
- Actors/Actresses: Mahipal, Chitra, Tiwari, Kammo
- Year/Decade: 1955, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

luuT liyaa luuT liyaa
kisii gariib kaa ghar baadshaah ne luuT liyaa
karuu.N mai.n kis se gilaa jab khudaa ne luuT liyaa
kisii gariib kaa ghar
lahuu se dil ke jalaayaa thaa jo chiraag hamane
isii chiraag ko zaalim hawaa ne luuT liyaa
kisii gariib kaa ghar
duhaaii hai insaaf kii duhaaii hai
ki ek fakiir ko aalampanaa ne luuT liyaa
karuu.n mai.N kis se gilaa jab khudaa ne luuT liyaa
Comments/Credits:
% Transliterator: Satish % Date: 17 Feb 2003 % Series: GEETanjali % generated using giitaayan
