Browse songs by

kurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge - - Ghulam Ali

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge
dil wo be-mehar ki rone ke bahaane maa.Nge

apanaa ye haal ki jii haar chuke, luT bhii chuke
aur muhabbat vahii a.ndaaz puraane maa.Nge

ham na hote to kisii aur ke charche hote
Kalqat-e-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge

yahii dil thaa ki tarasataa thaa maraasim ke liye
ab yahii tark-e-ta_alluq ke bahaane maa.Nge

dil kisii haal pe thaame hii nahii.n jaam-e-karaar
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image