Browse songs by

ko_ii had nahii.n hai kamaal kii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ko_ii had nahii.n hai kamaal kii
ko_ii had nahii.n hai jamaal kii

wo hii qurb-o-duur kii ma.nzile.n
wohii shaam Kaab-o-Kayaal kii

na mujhe hii usakaa pataa ko_ii
na use Kabar mere haal kii

ye jawaab merii sadaa kaa hai
ke sadaa hai usake sawaal kii

hai 'muniir' subah-e-safar na_ii
ga_ii baat shab ke malaal kii

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image