kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n
- Movie: Gul Sanobar
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Khaiyyam
- Lyricist: Kaif Irfani
- Actors/Actresses: Shyama, Shammi Kapoor
- Year/Decade: 1953, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

(kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate)-2
bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate
kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate
(kaii dil TuuT jaate hai.n, sadaa ? tak bhii nahii.n aatii)-2
hazaaro.n dard aise hai.n kasak jinakii nahii.n jaatii
kasak jinakii nahii.n jaatii
bahut se zakm aise hai.n jo dikhalaaye nahii.n jaate
bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate
kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate
(kahii.n ? mahafil ho duniyaa kii, vahii hai dil kii tanahaaii)-2
(na jaane aaj kyaa aayaa, hamaarii aa.Nkh bhar aaii)-2
ye kaise giit hai.n ai dil, jo gaaye bhii nahii.n jaate
bahut see raaz aise hai.n, jo samajhaaye nahii.n jaate
kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate
Comments/Credits:
% Transliterator:Srinivas Ganti % Date: 19 Feb, 2003
