Browse songs by

kabhii aaj kabhii kal kabhii paraso.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

## Lata sings the mukha.Daa first followed by Suman followed by both ##

(kabhii aaj kabhii kal kabhii paraso.n aise hii biite baraso.n
hamaarii sunate hii nahii.n saajanaa dekhojii sunate hii nahii.n saajanaa)
-3

su : Daal pe phuul aur phuulo.n pe bha.Nvare din bhar sau sau khel kare.n
la : Daal pe phuul aur phuulo.n pe bha.Nvare din bhar sau sau khel kare.n
ta.Dape.n tarase.n ham hii.n akele chhup chhup Tha.nDii aah bhare.n
do : biitii jaay dekho haay ye javaanii, ye dilo.n kii kahaanii
hamaarii sunate hii nahii.n saajanaa dekhojii sunate hii nahii.n saajanaa
kabhii aaj kabhii kal ...

su : jabase gaye pardes piyaa merii nii.nd bhii unake saath ga_ii
la : jabase gaye pardes piyaa merii nii.nd bhii unake saath ga_ii
jaise taise Guzar gayaa din par mushqil se raat ga_ii
do : sau sau baar hamane pyaar se pukaaraa, ye dil hai tumhaaraa
hamaarii sunate hii nahii.n saajanaa dekhojii sunate hii nahii.n saajanaa
kabhii aaj kabhii kal ...

su : tumane piyaa jii meraa dil to liyaa ji par pyaar ke vaade bhuul chale
la : tumane piyaa jii meraa dil to liyaa ji par pyaar ke vaade bhuul chale
kab se pyaasii hamaarii aa.Nkhe.n ab to mil jaa chaa.Nd tale
do : kaise haay sahii jaay ye judaa_ii, phiru.N mai.n sharamaa_ii
hamaarii sunate hii nahii.n saajanaa dekhojii sunate hii nahii.n saajanaa
kabhii aaj kabhii kal ...

Comments/Credits:

			 % Date : 3/26/2003
% Credits  : Balaji Murthy
% Comments : Geetanjali Series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image