kab yaad me.n teraa saath nahii.n
- Movie: Anjuman
- Singer(s): Khaiyyam, Jagjit Kaur
- Music Director: Khaiyyam
- Lyricist: Faiz Ahmed Faiz
- Actors/Actresses: Shabana Azmi, Farooq Sheikh, Rohini Hattangadi, Shaukat Kaifi, Yunus Parvez
- Year/Decade: 1986, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

khai : kab yaad me.n teraa saath nahii.n
do : kab yaad me.n teraa saath nahii.n
kab haath me.n teraa haath nahii.n
sad-shuqr ke apanii raato.n me.n
( sad-shuqr ke apanii raato.n me.n
ab hizr kii ko_ii raat nahii.n ) -2
ja : maidaan-e-wafaa darabaar nahii.n
yaa.N naam-o-natab kii puuchh kahaa.N
khai : maidaan-e-wafaa darabaar nahii.n
yaa.N naam-o-natab kii puuchh kahaa.N
aashiq to kisii kaa naam nahii.n
do : ( aashiq to kisii kaa naam nahii.n
kuchh ishq kisii kii zaat nahii.n ) -2
kab yaad me.n teraa saath nahii.n
kab haath me.n teraa haath nahii.n
khai : jis dhaj se ko_ii maqatal me.n gayaa
wo shaan salaamat rahatii hai
ja : jis dhaj se ko_ii maqatal me.n gayaa
wo shaan salaamat rahatii hai
khai : ( ye jaan to aanii-jaanii hai
do : is jaa.N kii to ko_ii baat nahii.n ) -2
kab yaad me.n teraa saath nahii.n
kab haath me.n teraa haath nahii.n
do : ( gar baazii ishq kii baazii hai
jo chaahe lagaa do Dar kaisaa ) -2
gar jiit gaye to kyaa kahanaa
( gar jiit gaye to kyaa kahanaa
haare bhii to baazii maat nahii.n ) -2
kab yaad me.n teraa saath nahii.n
kab haath me.n teraa haath nahii.n
sad-shuqr ke apanii raato.n me.n
ab hizr kii ko_ii raat nahii.n
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
