justajuu jisakii thii usako to na paayaa hamane
- Movie: Umrao Jaan
- Singer(s): Asha Bhonsle
- Music Director: Khaiyyam
- Lyricist: Shahryar
- Actors/Actresses: Rekha, Raj Babbar, Naseeruddin Shah, Prema Narayan, Dina Pathak, Farooq Sheikh, Shaukat Azmi
- Year/Decade: 1981, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

justajuu jisakii thii us ko to na paayaa hamane
is bahaane se magar dekh lii duniyaa hamane
tujhako rusavaa na kiyaa Khud bhii pashemaa.N na huye
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa hamane
kab milii thii kahaa.N bichha.Dii thii hame.n yaad nahii.n
zi.ndagii tujhako to bas Khvaab me.n dekhaa hamane
ai 'Ada' aur sunaaye bhii to kyaa haal apanaa
umr kaa lambaa safar tay kiyaa tanahaa hamane
% 'adaa" was taKallus of umraao jaan 'adaa' in the film.
Comments/Credits:
% Transliterator: Nita Awatramani
