Browse songs by

jalii jo shaaK\-e\-chaman ... ek mai.n huu.N ek merii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

verbal prelude:
jalii jo shaakh-e-chaman, saath baaGabaa.N bhii jalaa
jalaa ke mere nasheman ko aasmaa.n bhii jalaa

ek mai.n huu.N ek merii beqasii kii shaam hai
ab to tujh bin zi.ndagii bhii mujh pe ik ilzaam hai

dil pe kyaa guzarii tere jaane se ko_ii kyaa kahe
saa.Ns jo aatii hai vo bhii dard kaa paiGaam hai

aa.Nsuuo.n mujh par ha.Nso mere muqaddar par ha.Nso
ab kahaa.N vo zi.ndagii jis kaa muhabbat naam hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nita Awatramani
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image