Browse songs by

jahaa.n me.n ko_ii ... pyaar ko_ii khel nahii.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jahaa.n me.n ko_ii pyaar kaa divaanaa ho gayaa jahaa.n
jiine marane kaa hosh hai phir use kahaa.n
pyaar ko_ii khel nahii.n

aashiqii vo rog hai ke lage jo ik baar
dil se phir ye jaa_e naa kariye jatan hazaar
tere labo.n par bhii pyaare ronaa hai ye ha.Nsii nahii.n
jahaa.n me.n ko_ii ...

ishq me.n ko_ii bhii ho majanuu.n yaa farahaad
miT ga_e shaaho.n ke naam par ye zi.ndaa hai aaj
chaahat me.n dii jaan jisane vo kabhii marataa nahii.n
jahaa.n me.n ko_ii ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image