jab yaad kisii kii ta.Dapaaye
- Movie: Jhoomar (Pakistani-Film)
- Singer(s): Nahid Niazi
- Music Director: Khurshid Anwar
- Lyricist: Qateel Shifai
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( jab yaad kisii kii ta.Dapaaye
aur apane aap dil bhar aaye
jab raato.n ko nii.nd na aaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa ) -2
( jab ik hii lagan lag jaaye
baiThii sapano.n ke mahal banaaye ) -2
rahe tuu niDhaal tere bikhare baal
teraa gair haal ho jaaye, teraa ruup ra.ng kumhalaaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa
( rahe chup chup laaj ke maare
taare gin gin ratiyaa.N guzaare ) -2
jaage saarii rain, aaye pal na chain, tere bhiige nain matawaare
dil baar baar ghabaraaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa
jab yaad kisii kii ta.Dapaaye
aur apane aap dil bhar aaye
jab raato.n ko nii.nd na aaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa
Comments/Credits:
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/ % Credits: Khwaja Khurshid Anwar Trust % Irfan Anwar ( anwar06 at msn dot com ) % Originally composed for Parwaana/ 1947