jab tak hai jaa.N jaan\-e\-jahaa.N mai.n naachuu.Ngii
- Movie: Shole
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: R D Burman
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Dharmendra, Amitabh Bachchan, Sanjeev Kumar, Hema Malini, Amjad Khan, Jaya Bhaduri
- Year/Decade: 1975, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
jab tak hai jaa.n, jaan-e-jahaa.N,
mai.n naachuu.Ngii
pyaar kabhii bhii marataa nahii.n
maut se bhii ye Darataa nahii.n
luT jaae.nge miT jaae.nge mar jaae.nge ham
zindaa rahegii hamaarii daastaa.n
o haa.n, jab tak hai jaa.n ...
TuuT jaae paayal to kyaa
paa.Nv ho jaae.n ghaayal to kyaa
dil diyaa hai dil liyaa hai pyaar kiyaa hai to
denaa pa.Degaa muhabbat kaa imtahaa.n
o haa.n, jab tak hai jaa.n ...
ye nazar jhuk sakatii nahii.n
ye zubaa.n ruk sakatii nahii.n
mai.n kahuu.Ngii Gam sahuu.Ngii chup rahuu.Ngii kyaa
bebas huu.N lekin nahii.n mai.n bezubaa.n
o haa.n, jab tak hai jaa.n ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)