ik tiir jigar pe khaa kar ham na idhar ke rahe
- Movie: Phool Aur Kante/ Flowers And Thorns
- Singer(s): Meena Kapoor
- Music Director: Dada Chandekar
- Lyricist: Vishwamitra Adil
- Actors/Actresses: Saroj Borkar, Lalita Pawar, Salvi, Mohan Sahgal
- Year/Decade: 1948, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

ik tiir jigar pe khaa kar ham -2
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
siine me.n aag lagaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
( nazaro.n kii bhii Takkar ho ga_ii
la.Datii bhii ga_ii.n sharamaa bhii ga_ii.n ) -2
par dil se dil Takaraa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
ik tiir jigar pe khaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
jab yaad kisii kii aatii hai -2
aa.Nkho.n se aa.Nsuu girate hai.n
dil me.n tuufaan uThaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
ik tiir jigar pe khaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
( hai.n phuul aur kaa.NTe dono.n hii
ulafat kii ra.ngiilii raaho.n me.n ) -2
ulafat me.n paa.Nv ba.Dhaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
ik tiir jigar pe khaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
siine me.n aag lagaa kar ham
na idhar ke rahe na udhar ke rahe -2
Comments/Credits:
% Credits: U.V. Ravindra
