ho duur desh se aa jaa re
- Movie: Shokhiyan
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Chorus, Suraiyya
- Music Director: Jamal Sen
- Lyricist: Kedar Sharma
- Actors/Actresses: Premnath, Jeevan, Suraiyya
- Year/Decade: 1951, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

o
ho duur desh se aa jaa re -2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahii.n jaaye -2
mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii
aa
taane de mohe saratiyaa ??
morii basii ha.Nsii u.Daaye
chho.D ke jo jaaye paradesii -2
paachhe lauT na aaye -2
aa ke dhiir ba.ndhaa jaa re
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahii.n jaaye -2
mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii
aa
ban-ban bhaTakuu.N rain-diwas
jiyaa kis bidh chal naahi.n paaye
nagarii jo suunii bha_ii -2
phir nainaa kyuu.N bhar aaye
nainaa kyuu.N bhar aaye
naino.n kii pyaas bujhaa jaa re -2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahii.n jaaye -2
mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii
aa
uma.D-uma.D kar badaliyaa.N baras-baras tarasaaye.n
saawan kii ye sautane -2
mohe aaTho.n pahar jalaaye.n
aaTho.n pahar jalaaye.n
saawan ko samajhaa jaa re -2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahii.n jaaye -2
mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii
Comments/Credits:
% First film of Jamal Sen
