Browse songs by

har taraf har jagah beshumaar aadamii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

j: har taraf har jagah beshumaar aadamii
l: har taraf har jagah beshumaar aadamii
dono: phir bhI tanhaaiyo.n kA shikaar aadamii

l: subah se shaam tak bojh Dhotaa huA
j: subah se shaam tak bojh Dhotaa huA
j: apanii hii laash kA khud mazaar aadamii

l: har taraf bhaagate dau.Date raaste
har taraf aadamii kA shikaar aadamii

l: roz jItaa huA roz marataa huA
j: roz jItaa huA roz marataa huA
j: har nayii din nayaa i.ntazaar aadamii

j: zindagii kA muqaddar safar Dar safar
l: zindagii kA muqaddar safar Dar safar
dono: aakhirii saa.Ns tak beqaraar aadamii

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image