Browse songs by

ham tumase muhabbat kar ke sanam duniyaa kaa fasaanaa bhuul gaye

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham tum se muhabbat kar ke sanam, duniyaa kaa fasaanaa bhuul gaye
aa.Nkho.n se terii ek jaam piyaa phir hosh me.n aanaa bhuul gaye

jab dekh lii terii mast nazar maikhaane kaa rastaa chho.D diyaa
zulfo.n pe terii jab aa.Nkh pa.Dii, saavan kaa zamaanaa bhuul gaye
aa.Nkho.n se terii ...

ai husn terii ulfat ne hame.n pahu.Nchaa diyaa aisii ma.nzil pe
kadamo.n pe tere ek sajadaa kiyaa, phir sar ko uThaanaa bhuul gaye
aa.Nkho.n se terii ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image