Browse songs by

ham hai.n mataa\-e\-kuuchaa\-o\-baazaar kii tarah

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham hai.n mataa-e-kuuchaa-o-baazaar kii tarah
uThatii hai har nigaah khariidaar kii tarah

vo to kahii.n hai.n aur magar dil ke aas paas
magar dil ke aas paas
phiratii hai koii shah nigaah-e-yaar kii tarah
ham hai.n ...

majaruuh likh rahe hai.n vo ahal-e-vafaa kaa naam
ahal-e-vafaa kaa naam
ham bhii kha.De hue hai.n gunahagaar kii tarah
ham hai.n ...

% Some more ashar from the ghazal that are not used in the film version

is kuu-e-tishnagii me.n bahut hai ke ek jaam
haath aa gayaa hai daulat-e-bedaar kii tarah

siidhii hai raah-e-shauq par yuu.N hii kabhii kabhii
Kam ho ga_ii hai gesuu-e-diladaar kii tarah

ab jaa ke kuchh khulaa hunar-e-naakhuun-e-junuun
zaKm-e-jigar hue lab-o-ruKsaar kii tarah

Comments/Credits:

			 % Credits: Dinesh K. Prabhu, Nita Awatramani
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image