duniyaa ke saare Gamo.n se begaanaa ho mai.n huu.N mastaanaa
- Movie: Mastaanaa
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Madan Mohan
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Motilal, Nigar Sultana, Kuldeep Kaur, Sundar, Chandrashekhar, Gop
- Year/Decade: 1954, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
duniyaa ke saare Gamo.n se begaanaa
ho mai.n huu.N mastaanaa -2
jiitaa huu.N duniyaa me.n apanii Kushii se
naa dushman kisii kaa naa ulfat kisii se -2
din-raat meraa yahii hai taraanaa
ho mai.n huu.N mastaanaa ...
naashaad huu.N mai.n dilashaad huu.N mai.n
duniyaa ke jhaga.Do.n se aazaad huu.N mai.n -2
ye saaraa jahaa.N hai meraa aashiyaanaa
ho mai.n huu.N mastaanaa ...
jiinaa yaa maranaa ha.Nsanaa-ronaa
hotaa rahegaa ho kuchh hai honaa -2
khaa_e.nge ham aur kamaa_e zamaanaa
ho mai.n huu.N mastaanaa ...