do baate.n ho sakatii hai.n sanam tere inakaar kii
- Movie: Imtihaan
- Singer(s): Kumar Sanu
- Music Director: Anu Malik
- Lyricist: Faiz Anwar
- Actors/Actresses: Arun Bakshi, Sunny, Shakti Kapoor, Saif Ali Khan, Raveena Tandon, Gulshan, Mohan Joshi
- Year/Decade: 1994, 1990s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

( do baate.n ho sakatii hai.n sanam tere inakaar kii -2
yaa duniyaa se tuu Daratii hai -2 yaa kadar nahii.n mere pyaar kii ) -2
kab se kha.Daa mai.n raaho.n me.n apanaa dil bichhaa_e
haay haay kab se kha.Daa ...
lekin merii muhabbat pe tumako yaqii.n na aa_e -2
do baate.n ho sakatii hai.n sanam tere etabaar kii
yaa dil hai teraa patthar kaa -2 yaa chaahat nahii.n diladaar kii
do baate.n ho sakatii hai.n ...
Dar hai kahii.n is jiivan kaa sapanaa TuuT na jaa_e
haay haay Dar hai kahii.n is ...
mai.n ban jaa_uu.N paagal aur duniyaa ha.Nsii u.Daa_e -2
do baate.n ho sakatii hai.n ab to jiit yaa haar kii -2
kah do mujhase mai.n mar jaa_uu.N -2 yaa thaam le baahe.n yaar kii
do baate.n ho sakatii hai.n ...
