din ne jaate jaate ... ye raat din kaa pheraa
- Movie: Bilwamangal
- Singer(s): C H Atma
- Music Director: Bulo C Rani
- Lyricist: D N Madhok
- Actors/Actresses: Ulhas, Suraiyya, C H Atma, Asha Mathur
- Year/Decade: 1954, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

din ne jaate jaate mujhako raat ke haath diyaa
bor bhayii aur jhaa.D chadariyaa raat ne kuuch kiyaa
phir pahare par suuraj aayaa phir wohii din ke phere
paharedaar badalate jaaye.n ba.ndh na chhuuTe.n mere
ye raat din kaa pheraa
ye raat din kaa pheraa lagaa rahegaa
jab tak na kuuch na hogaa yaa.N se Deraa
ye raat din kaa pheraa
subah guzar ga_ii hai aur shaam jaa rahii hai -2
muurakh sambhal ke dar pe wo raat aa rahii hai
is raat kaa jiiwan me.n kabhii hogaa naa saveraa -2
ye raat din kaa pheraa
maaya ke laate sar pe dhar ke kahaa.N chalaa hai -2
aur moh jholiyo.n me.n bhar ke kahaa.N chalaa hai
ma.nzil hai duur terii kadam Dagamagaaye teraa
ye raat din kaa pheraa lagaa rahegaa
jab tak na kuuch na hogaa yaa.N se Deraa
ye raat din kaa pheraa
