Browse songs by

dil le ke dil diyaa hai ehasaan kyaa kiyaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

la : dil le ke dil diyaa hai ehasaan kyaa kiyaa hai
itanaa guruur kaisaa kyaa muft de diyaa hai

ra : qurabaan is adaa ke phir dekh muskuraa ke
nazaro.n se dil u.Daa ke qabzaa jamaa liyaa hai
la : dil le ke dil diyaa hai ehasaan kyaa kiyaa hai

la : do mast nain tere do mast nain mere
dono.n ne chaar ho ke ik dil churaa liyaa hai
ra : dil le ke dil diyaa hai ehasaan kyaa kiyaa hai

ra : taaro.n se koii puuchhe bechainiyaa.N hamaarii
jis din se dil diyaa hai ik dard le liyaa hai
do : dil le ke dil diyaa hai ehasaan kyaa kiyaa hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image