Browse songs by

dil hii to hai ta.Dap gayaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dil hii to hai ta.Dap gayaa dard se bhar na aaye kyo.n
roye.nge ham hazaar baar koii hame.n sataaye kyo.n

rote hue guzaar dii jis ne tamaam zi.ndagii
us ko ha.Nsii se kaam kyaa koii use ha.Nsaaye kyo.n

ai mere badanasiib dil dekh ye terii bhuul hai
tuu to Kizaa kaa phuul hai tum se bahaar aaye kyo.n

aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu dil me.n Gam jiine ko jii rahe hai.n ham
maut se pahale zi.ndagii Gam se nijaat paaye kyo.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Comments: Is "inspired" in large part by Ghalib's 
%           dil hi to hai na sang-o-khisht
%           Talat's version in Mirza Ghalib and Chitra Singh's in the
%           TV series are both worth a hear
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image