Browse songs by

diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de
varanaa kahii.n taqadiir tamaashaa na banaa de

ai dekhane waalo mujhe ha.Ns-ha.Ns ke na dekho
tumako bhii mohabbat kahii.n mujhasaa na banaa de

mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shamaa kahaa.N hai
jo bazm kii har chiiz ko parawaanaa banaa de

aaKir ko_ii suurat bhii to ho Kaanaa-e-dil kii
kaabaa nahii.n banataa hai to butaKaanaa banaa de

'behzad' har ek gaam pe ek sajadaa-e-mastii
har zarre ko sa.ng-e-dar-e-jaanaanaa banaa de

Comments/Credits:

			 % Credits: Abhay Phadnis, U V Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image