Browse songs by

dhuaa.N uThaa hai kahii.n aaG jal rahii hogii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dhuaa.N uThaa hai kahii.n aag jal rahii hogii
asiir-e-roshanii baahar nikal rahii hogii

ye chaaro.n or se aate hue kaii daste
jab ek duusare ke jism aake chhuute hai.n
koii to haath milaakar nikal gayaa hogaa
kisii kii mo.D pe ma.nzil badal gaii hogii

harek roz nayaa aasamaan khulataa hai
Khabar nahii.n hai ki kal din kaa ra.ng kyaa hogaa
palak se paanii giraa hai to us_ko girane do
koii puraanii tamannaa pighal rahii hogii

Comments/Credits:

			 % Contributor: Vinay P Jain
% Transliterator: Vinay P Jain
% Date: 10 Jun 2003
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image