dekhuu.N kab tak baaT piyarawaa
- Movie: Mera Ladka/ My Son
- Singer(s): Shanta Hublikar
- Music Director: Keshavrao Bhole
- Lyricist: Pt Anuj
- Actors/Actresses: Ulhas, Shanta Hublikar, Mama Bhatt
- Year/Decade: 1938, 1930s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

dekhuu.N kab tak baaT
dekhuu.N kab tak baaT piyarawaa dekhuu.N baaT tumhaar
patharaa_ii.n a.nkhiyaa.N
patharaa_ii.n a.nkhiyaa.N dekhat Dhuu.NDhat
ekahuu din more ghar naa aavat
khaalii baaT nihaar piyarawaa dekhuu.N baaT tumhaar
jiyaa ta.Dapat hai jiyaa dha.Dakat hai -2
daras ko tore lalachaataa man hai
haa.N
jiiwan ke aadhaar piyarawaa dekhuu.N baaT tumhaar
saagar uThatii duur tara.nge.n -2
tairuu.N kahaa.N se bhaarii uma.nge.n
byaakul mai.n is paar piyarawaa dekhuu.N baaT tumhaar
bhe.NT hamaarii ab kab hogii -2
priit kii jotii mil ke jalegii
Duube sab sa.nsaar jagat me.n Duube sab sa.nsaar
dekhuu.N tab tak baaT piyarawaa dekhuu.N tab tak baaT -2
dekhuu.N tab tak baaT
