chorii chorii merii galii aanaa hai buraa
- Movie: Jaal
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Chorus
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actors/Actresses: Dev Anand, Geeta Bali
- Year/Decade: 1952, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
chorii chorii merii galii aanaa hai buraa
- a_ig
aa ke binaa baat kiye jaanaa hai buraa
- a_ig!
achchhe nahii.n ye ishaare
pe.Do.n tale chhup-chhupaake
aao na do baate.n kar le.n
nazaro.n se nazare milaa ke
din hai.n pyaar ke, mauj bahaar ke
dekho bhole bhaale dil ko ta.Dapaanaa hai buraa
chorii chorii merii galii aanaa hai buraa ...
dil aa gayaa hai to pyaare
badanaam hone kaa Dar kyaa?
ishq-o-vafaa kii galii me.n
duniyaa ke Gam kaa guzar kyaa?
din hai.n pyaar ke, mauj bahaar ke
dekho bhole bhaale dil ko ta.Dapaanaa hai buraa
chorii chorii merii galii aanaa hai buraa ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar % Comments: SDB Series #28